08 October, 2013

Karwa chouth Vrath katha hindi

महिलाओं के अखंड सौभाग्य का प्रतीक करवा चौथ व्रत की कथा कुछ इस प्रकार है- 

एक साहूकार के सात लड़के और एक लड़की थी. एक बार कार्तिक मास की कृष्ण पक्ष की चतुर्थी तिथि को सेठानी सहित उसकी सातों बहुएं और उसकी बेटी ने भी करवा चौथ का व्रत रखा. रात्रि के समय जब साहूकार के सभी लड़के भोजन करने बैठे तो उन्होंने अपनी बहन से भी भोजन कर लेने को कहा. इस पर बहन ने कहा- भाई, अभी चांद नहीं निकला है. चांद के निकलने पर उसे अर्घ्य देकर ही आज मैं भोजन करूंगी. अपनी बहन के उत्तर को सुनकर साहूकार के बेटे नगर के बाहर चले गए और वहां अग्नि जला दी. फिर वापस घर आकर उन्होंने छलनी से प्रकाश दिखलाते हुए अपनी बहन से बोले- देखो बहन, चांद निकल आया है. अब तुम उन्हें अर्घ्य देकर भोजन ग्रहण करो. साहूकार की बेटी ने अपनी भाभियों से कहा- देखो, चांद निकल आया है, तुम लोग भी अर्घ्य देकर भोजन कर लो. ननद की बात सुनकर भाभियों ने कहा- बहन अभी चांद नहीं निकला है, तुम्हारे भाई धोखे से अग्नि जलाकर उसके प्रकाश को चांद के रूप में तुम्हें दिखा रहे हैं.
साहूकार की बेटी अपनी भाभियों की बात को अनसुनी करते हुए भाइयों द्वारा दिखाए गए चांद को अर्घ्य देकर भोजन कर लिया. इस प्रकार करवा चौथ का व्रत भंग करने के कारण विघ्नहर्ता भगवान श्री गणेश साहूकार की लड़की पर अप्रसन्न हो गए. गणेश जी की अप्रसन्नता के कारण उस लड़की का पति सख्त बीमार पड़ गया और घर में बचा हुआ सारा धन उसकी बीमारी में लग गया. साहूकार की बेटी को जब अपने किए हुए दोषों का पता लगा तो उसे बहुत पश्चाताप हुआ. उसने गणेश जी से क्षमा प्रार्थना की और फिर से विधि-विधान पूर्वक चतुर्थी का व्रत शुरू कर दिया. उसने उपस्थित सभी लोगों का श्रद्धानुसार आदर किया और तदुपरांत उनसे आशीर्वाद ग्रहण किया. इस प्रकार उस लड़की के श्रद्धा-भक्ति को देखकर एकदंत भगवान गणेश जी उसपर प्रसन्न हो गए और उसके पति को जीवनदान प्रदान किया. उसे सभी प्रकार के रोगों से मुक्त करके धन, संपत्ति और वैभव से युक्त कर दिया. कहते हैं इस प्रकार यदि कोई मनुष्य छल-कपट, अहंकार, लोभ, लालच को त्याग कर श्रद्धा और भक्तिभाव पूर्वक चतुर्थी का व्रत को पूर्ण करता है, तो वह जीवन में सभी प्रकार के दुखों और क्लेशों से मुक्त होता है और सुखमय जीवन व्यतीत करता है.



Mahilaon ke akhand saubhagya ka pratik Karwa Chauth Vrat ki katha kuchh is prakar hai- Ek Sahukar ke saat ladke aur ek ladki thi. ek bar Kartik Maas ki Krishna Paksh ki Chaturthi Tithi ko Sethani sathi uski saato bahuye aur uski beti ne bhi Karwa Chauth ka vrat rakha. Ratri ke samay jab sahukar ke sabhi ladke bhojan karne baithe to unhone apni bahan se bhi bhojan kar lene ko kaha. Is par bahan ne kaha- Bhai, abhi Chand nahi nikla hai. Chand ke nikalne par use arghya dekar hi aaj main bhojan karungi. Apni bahan ke uttar ko sunkar Sahukar ke bete nagar ke bahar chale gaye aur waha agni jala di. Fir wapas ghar aakar unhone chhalani se prakash dikhlate huye apni bahan se bole- Dekho bahan, Chand nikal aaya hai. Ab tum unhe arghya dekar bhojan grahan karo. Sahukar ki beti ne apni bhabhiyo se kaha- Dekho, Chand nikal aaya hai, tum log bhi arghya dekar bhojan kar lo. Nanad ki baat sunkar bhabhiyo ne kaha- Bahan abhi Chand nahi nikla hai, tumhare bhai dhokhe se agni jalakar uske prakash ko Chand ke roop me tumhe dikha rahe hain.
Sahukar ki beti apni bhabhiyo ki baat ko ansuni karte huye bhaiyo dwara dikhaye gaye Chand ko arghya dekar bhojan kar liya. Is prakar Karwa Chauth ka vrat bhang karne ke karan Vighnharta Bhagvan Shri Ganesh sahukar ki ladki par aprasann ho gaye. Ganesh Ji ki aprasannata ke karan us ladki ka pati sakht bimar pad gaya aur ghar me bacha hua sara dhan uski bimari me lag gaya. Sahukar ki beti ko jab apne kiye huye dosho ka pata laga to use bahut pashchatap hua. Usne Ganesh Ji se kshama prarthana ki aur fir se vidhi-vidhan pooravak chaturthi ka vrat shuru kar diya. Usne upasthit sabhi logo ka shraddhanusar aadar kiya aur taduparant unse aashirvad grahan kiya. Is prakar us ladki ek shraddha-bhakti ko dekhkar Ekdant Bhagvan Ganesh Ji uspar prasann ho gaye aur uske pati ko jivandaan pradan kiya. Use sabhi prakar ke rogo se mukt karke dhan, samaptti aur vaibhav se yukt kar diya. Kahte hain yadi koi manushya chhal-kapat, ahankar, lobh, lalach ko tyag kar shraddha aur bhaktibhav poorvak Chaturthi ka vrat ko purn karta hai, to wah jivan me sabhi prakar ke dukho aur klesho se mukt hota hai aur sukhmay jivan vyateet karta hai.


No comments:

Post a Comment

Thanks for your Feedback :)

CONTACT US

Name

Email *

Message *